Friday, April 27, 2012

Hamari yaad sataye to phir chale aana


Hamari yaad sataye to phir chale aana
Kahin qaraar na aaye to phir chale aana.

Tera chera rahe ga hamari nazron mein
Nazar se koi giraye to phir chale aana.

Hamare haal pe duniya ko hansaney wale
Tumhein zamana rulaye to phri chale aana.

Khuda kare baharon mein, teri ye zindagi guzrey
Khizan ka khauf sataye, to phir chale aana.


Har shaks hai duniya, mein pyar ke qabil
Kisi pe pyar na aaye, to phir chale aana...

No comments:

Post a Comment